Saturday 12 July 2014

***JEENA ISI KA NAAM HAI***


Hmm...kya batau ab main..

Ki kaha khadi hu ab mein...

Umeedo ki is aandhi se..

Kaise ladi hu ab main...

 

Tasveer jo bani thi..

Hui aujhal aise...

Jalte hue hue deepak ko..

Bujhaya kisi bezor hawa ne jaise..

 

Naa awaz hui..

Naa takkkaluf hui..

Naa keh saki kuch bhi..

 

Bas bandhe hu hontho se..

Unhi Nam hui aankho se...

Apni kahani bayaan karti chali gyi...

 

Na koi sun ne ko tha..

Naa hi koi dilasa dene ko...

Naa koi kehne ko tha...

Naa kuch kehne ko bacha tha...

 

Apni badhti hui pareshaniyo ko..

Apne sir pe hi rakh

Chalti chali gyi..

 

Kyuki jeena isi kaa naam hai...

 

Dil mera shukriya karne ko bhi karta hai kabhi...

Jo sheek mili hai tujhse...

Wo na bhoolungi kabhi..

 

Kyuki jeena isi ka naam hai....